Search This Blog

Friday 2 September 2011

Yaad


“Khwaab sach hon to manzil mil jaati hai.. 
yaad bhi aksar tasveer ban jaati hai..”

tasveer ban panno men simat jaati hai. 
kabhi hansti kabhi muskati jhank jati hai.

purane shabdon ki faili syahi si.
nayi yaadon mein sama jati hai

yaad to phir bhi yaad hi hoti hai.
har kone se jhankti fariyad karti hai.

kabhi yatarth ban samne aa jati hai..
phir kabhi na bhoolne ki guhaar karti hai

uss khilte mogre ki khushboo ban jati hai.. 
sawan mein prem ban yun hi baras jati hai.

pile pade pano mein khwaab ban jati hai..
beach mein dabe gulab ki khushboo fail jati hai.

kabhi aankh mein kajal ban idtlati hai. 
To kabhi ban anso nayano mein bus jati hai

tab yaad sirf tasveer kahan hoti hai .. 
har saans se jivit hoti jati hai... Hoti jaati hai..

~16/08/2011~

1 comment:

  1. I am just concentrating on one line and I hurriedly say sometimes only ONE PHRASE or ONE passing sidelong glance tells us so much . YAAD TO PHIR BHI YAAD HOTI HAI.
    Its like long forgotten Fragrance of a pressed flower in forgotten pages of a book.

    ReplyDelete